Tumhen jab rubaru dekha karen ge,
Ye socha hay buhat socha karen ge,
Nazar may chodvein ka chand ho ga,
Samundar ki zuban bola karen ge,
Tumhara aks jab utrey ga dil mein,
Badan main aainey toota karen ge,
Bichrna ha to ye teh ker lein ab se,
Judai ka safar tanha karen ge,
Na aaye ga koi ilzam tum par,
Hum apnay aap ko ruswa karein ge,
Iss uljhan mein kati hai umer,
K pal do pal me hum kya kya karein Ge...!
No comments:
Post a Comment